|
Danishwrote:
MAA KI AZMAT
jab tu peda howa kitna majboor tha yeh jahan teri sochon se bhi door tha haath paaoun bhi tub tere apne na thay teri ankhon mein duniya k sapne na thay tujh ko jo ata tha wo sirf rona hi tha doodh pi k kaam tera sirf sona hi tha tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri tujh ko dil main basaya tha maa ne teri maa k saaye mein parwan charne laga waqt ke sath sath tera qad bhi barne laga ahista ahista tou kariyal jawan ho gaya tujh pe sara jahan meharban ho gaya zor-e- baazoo pe tou baat karne laga khud hi sajne laga khud hi sanwarne laga aik din ik hasina tujhe bha gayi bun k dulhan woh tere ghar aagayi apne farz se tou door hone laga beej nafrat ka khud hi tou bone laga phir tou maa baap ko bhi bhulane laga teer baaton k phir tou chalane laga baat-bay-baat unn se tou larne laga qayda ik naya tou phir parne laga yaad kar tujh se maa ne kaha ik din abb humara guzara nahi tere bin sunn ke yeh baat tou tesh mein aagaya tera ghussa teri aqal ko kha gaya josh mein aa k tou ne yeh maa se kaha mein tha khamosh sub dekhta hi raha aaj kehta hoon peecha mera chor do jo hai rishta mera tum se woh tor do jaao ja k kahin kaam dhanda karo log marte hain tum bhi kahin ja maro beth kar aahein bharti thi maa raat bhar inki aahon ka tujh par howa na asar aik din baap tera chala roth kar kesay bikhri thi phir teri maa toot kar phir woh bhi bus kal ko bulati rahi zindagi isko har roz satati rahi aik din mout ko bhi taras agaya iska rona bhi taqdeer ko bha gaya ashk aankhon mein thay woh rawana hoi mout ki aik hichki bahana hoi ik sukoon uss k chehre pe chahne laga phir tou mayyat ko uski sajane laga muddatein ho gayi aaj buddha hai tou tooti kutiya pe para bora hai tou tere bachay bhi ab tujh se darte nahi nafrat hai, muhabbat woh karte nahi dard mein tou pukare ke o meri maa tere dam se roshan thay dono jahan waqt chalta rehta hai waqt rukta nahi toot jata hai who! jo ke jhukta nahi bun k ibrat ka tou ab nishan reh gaya dhoond!!! zor tera kahan reh gaya? tou ehkaam-e-rabbi bhulata raha apne maa baap ko tou satata raha kaat le tou wohi! tou ne boya tha jo tujh ko kese mile tou ne khoya tha jo yaad kar k gaya dor tou rone laga kal jo tou ne kiya aaj phir hone laga mout maangay tujhe mout aati nahi maa ki soorat nighahon se jaati nahi tou jo khaansay! to aulad daante tujhe tou hai nasoor! sukh kon bante tujhe? mout ayegi tujh ko magar waqt par bun hi jaye gi qabar teri waqt par qadar maa baap ki agar koi jaan le apni jannat ko duniya main pehchan le aur leta rahe woh baro ki dua usi k dono jahan, uska haami khuda yaad rakhna tou sonay ki iss baat ko bhool na jana rehmat ki barsat ko (By Saghar Siddiqui) Saghar Siddiqui was yet another on a list of Urdu poets who was born in India before partition, but moved to Lahore, after the partition of the Indian Subcontinent. He was born in 1928 in Anbala (in united Punjab under British India). He was named Muhammad Akhtar at birth.
Nov. 3
|
|
|
Arslan Khanwrote:
hi
i am Arslan khan from karachi
Aug. 29
|
|
|
Tayyab Khanwrote:
hi ....... khonkhowr taliban agar mulk-e pakistan pe chagay to//////////////
June 10
|
|
|
NOOR KHANwrote:
nadia choudhary looks pretty in ur display pic.
May 24
|
|
|
HiWay2H3llwrote:
kahan ghayab hain ji aap? khairiyat to hai na ?
May 21
|
|
|
HiWay2H3llwrote:
kafi dair sochney k baad majbooran yeh poochna par raha hai tum koi Don ho ya Don ki fan ho...... jo oye oye kr k baat kar rahi ho?
Apr. 28
|
|
|
HiWay2H3llwrote:
oh hoooooooooooooo larki ho kar larki ko line maar rahi hai awwwwwwwwwwww :D
Apr. 28
|
|
|
HiWay2H3llwrote:
sb bta dn hath paon katwa dn.... khud dimagh larao or pta lagao kon kisey line maar raha hai ji main nhn bta raha :D
Apr. 27
|
|
|
HiWay2H3llwrote:
wah wah
NA kya line maar raha hai :P
Apr. 21
|
|
|
Jiya sajjadwrote:
ameen
Apr. 4
|
|
|
N Awrote:
Roshni chand se hotee hai setaron se nahi
Mohabbat ek se hoti hai hazaro se nahi
Mar. 19
|